Wednesday, January 24, 2018

Ek arsa ho gaya...

Khidkiyon se jhaankti wo chhani si dhoop aur agarbatti ki khushbuyein,
Ek arsa ho gaya tha usey ghar ki subah dekhe huye,
Maathe pe rakha haath aur meethi si wo loriaan,
Muddatein guzar gyi thi ma ki god mein lete huye.

Kisi ka nanha bachpan aur dhoondhti nazrein,
Chhodh aaya wo apni gudiya ko raah takte huye,
Kisi ke besabra shikwe din raat intzaar karte hain,
Peechhe chhooti hai ek adhoori mohabbaat tadapte huye.

Sookhi coffee ke cup se wo mehekte lamhe,
ab talak bikhre hai us aangan ki chaarpai mein lipte huye,
Aaj bhi shiddat se khoonti mein tangi hai wo vardi,
Jiske dhabbon mein na jane kitne kisse hain simte huye.

Kai khwaab toote the jab wo sarhadon mein soya tha,
Apni palkon mein chand hasratein samete huye,
Aakhir nibha diya wo vaada bhi jo waapasi ka kar gaya tha wo,
Wo lauta, magar tirange ka khoobsurat kafan lapete huye.

Wo kar gaya apne hisse ki mohabbat watan se apne,
Khud ko  sabki khaatir yu hi fanaa karte huye,
Par kahin rooh banke wo apni keemat ka hisaab karta hoga,
Jab sabko dekhta hoga aapas mein bewajeh ladte huye.

No comments:

Post a Comment